Monday 8 February 2016

Ajab mosam hai mere har qadam par phool rakhta hai mohabbat mai

Ajab mosam hai mere har qadam par phool rakhta hai mohabbat mai
Ajab mosam hai mere har qadam par phool rakhta hai mohabbat mai







Neend se Jagay hain koi khwaab bhi dekha hai kya
Dekha hai to boliye shaab bhaar kahan ki sair ki

Thak gaya tha mai badan mai rehtay rehte aik din
Bhaag nikla aur jaakar aasmaan ki sair ki

Yaad hai ek aik gosha naqash hai dil par hanooz
sair to wo hai jo shehar-e-dilbaraan ki sair ki

Phool heraat se humain dekha kiye waqat-e-wisaal
Gul badan ke saath Aazar gulistaan ki sair ki

No comments:

Post a Comment