Monday 8 February 2016

Tera Saadgi Ka husan bhi lajawab hai mujhe naaz hai ke to mera intikhaab hy

Tera Saadgi Ka husan bhi lajawab hai mujhe naaz hai ke to mera intikhaab hy
Tera Saadgi Ka husan bhi lajawab hai mujhe naaz hai ke to mera intikhaab hy







Neend Mai Khiltay Howe Khwaab Ki Uryaani Par
Mai Ne Boosa Diya Mehtaab Ki Peshaani Par

Is Qabeelay Mai Koi Ishq Se Waqif He Nahi
Log Hanstay Hai Meri Chaak Garebaani Par

Nazar Aati Hai Tujhe Aisoon Ko Shabahat Apni
Mai Ne Tasweer Banayi Thi Kabhi Paani Par

Hum Faqeeron Ko Isi Khaak Se Nisbaat Hai Bohut
Hum Na Baitengay Tere Takhtay Sulaimaani Par

Us say kuch khaas taluq bhi nahi hai apna
Mai paraishaan howa jis ki Pareshaani Par

Paas hai lafaz ki hurmat ka wagarna Aazar
Koi tamgha to nahi milta ghazal khwaani par

No comments:

Post a Comment