Sunday 3 January 2016

urdu poems 2016 Usay Mai Kyun Bataon Mai Ne Usko Kitna Chaha Hai

urdu poems 2016 Usay Mai Kyun Bataon Mai Ne Usko Kitna Chaha Hai
urdu poems 2016 Usay Mai Kyun Bataon Mai Ne Usko Kitna Chaha Hai



  • yahi nahin ki faqat pyar karne aae hain hum ek umr ka tawan bharne aae hain
  • allah nazar koi Thikana nahin aata aane ko chale aate hain jaana nahin aata
  • hamin ne unki taraf se mana liya dil ko wo karte uzr to ye aur bhi garan hota
  • husn ki fitrat men dil-azariyan us pe zalim nit-nai tayyariyan
  • mayus KHud-ba-KHud dil-e-ummid-war hai is gul men bu KHizan ki hai rang-e-bahaar hai
  • qismat men KHushi jitni thi hui aur gham bhi hai jitna hona hai ghar phunk tamasha dekh chuke ab jangal jangal rona hai
  • un ke sitam bhi kah nahin sakte kisi se hum ghuT ghuT ke mar rahe hain ajab bebasi se hum
  • yahi achchha hai jo is tarah miTae koi aap bhi phir mujhe DhunDe to na pae koi
  • ada hai KHwab hai taskin hai tamasha hai hamari aankh men ek shaKHs be-tahasha hai



New Songs 2016Pakistan Super League 2016 Live Streaming



sher o shayari 2016 Kabhi Tammana Ke Raston Par Nikal Parro To Khayal Rakhna

sher o shayari 2016 Kabhi Tammana Ke Raston Par Nikal Parro To Khayal Rakhna
sher o shayari 2016 Kabhi Tammana Ke Raston Par Nikal Parro To Khayal Rakhna



  • aaj se pahle tere maston ki ye KHwari na thi mai baDi ifraat se thi phir bhi sarshaari na thi
  • dastan-e-shauq kitni bar dohrai gai sunne walon men tawajjoh ki kami pai gai
  • hamare hath men jab koi jam aaya hai to lab pe kitne hi pyason ka nam aaya hai
  • hamen to mai-kade ka ye nizam achchha nahin lagta na ho sab ke liye gardish men jam achchha nahin lagtha
  • hum na is Toli men the yaro na us Toli men the ne kisi ki jeb men the
  • jab kabhi baat kisi ki bhi buri lagti hai aisa lagta hai ki sine men chhuri lagti hai
  • jabr-e-haalat ka to nam liya hai tumne apne sar bhi kabhi ilzam liya hai tumne



New Songs 2016Pakistan Super League 2016 Live Streaming



romantic shayari 2016 Koi Aisa Hisaab Tum Likhna Gaye Dino Ki Batain Bhula Kar

romantic shayari 2016 Koi Aisa Hisaab Tum Likhna Gaye Dino Ki Batain Bhula Kar
romantic shayari 2016 Koi Aisa Hisaab Tum Likhna Gaye Dino Ki Batain Bhula Kar



  • jis ne kiye hain phul nichhawar kabhi kabhi aae hain uski samt se patthar kabhi kabhi
  • KHuda-parast mile aur na but-parast mile mile jo log wo apne nashe men mast mile
  • KHushk kheti hai magar usko hari kahte hain kam-nigahi ko bhi wo dida-wari kahte hain
  • kuchh log taghayyur se abhi kanp rahe hain hum sath chale to hain magar Dhanp rahe hain
  • log tanhai ka kis darja gila karte hain aur fankar to tanha hi raha karte hain
  • safar tawil sahi hasil-e-safar kya tha hamare pas ba-juz daulat-e-nazar kya tha
  • wo ehtiyat ke mausam badal gae kaise charagh dil ke andhere men jal gae kaise
  • wo jien kya jinhen jine ka hunar bhi na mila dasht men KHak uDate rahe ghar bhi na mila
  • yun jo uftad paDe hum pe wo sah jate hain han kabhi baat jo kahne ki hai kah jate hain



New Songs 2016Pakistan Super League 2016 Live Streaming



urdu ghazal 2016 Jab Seene Ke Andar Saans Kay Darya Dolte Hain

urdu ghazal 2016 Jab Seene Ke Andar Saans Kay Darya Dolte Hain
urdu ghazal 2016 Jab Seene Ke Andar Saans Kay Darya Dolte Hain



  • aaankhon pe wo zulf aa rahi hai kali jadu jaga rahi hai wahshat kya ghul macha rahi hai zulfen wo
  • chahat ghamze jata rahi hai wahshat sahra dikha rahi hai KHushbu kanan men aa rahi hai taqdir
  • daur saghar ka chale saqi dobara ek aur abr kaba se uTha hai man kahna ek aur
  • dil men tere ai nigar kya hai hota nahin ham-kanar kya hai jo jo wo ranj den uThao main chahta
  • hamare samne kuchh zikr ghairon ka agar hoga bashar hain hum bhi sahab dekhiye nahaq ka shar hoga
  • hazar jaan se sahab nisar hum bhi hain tumhaari tir-e-nigah ke shikar hum bhi hain
  • ja laDi yar se hamari aankh dekho kar baiThi faujdari aankh jaanib-e-dar nigah-e-hasrat hai kar
  • jite-ji ke aashna hain phir kisi ka kaun hai nam ke apne hua karte hain apna kaun hai
  • KHud mazedar tabiat hai to saman kaisa zaKHm-e-dil aap hain shorish pe namak-dan kaisa
  • kya banae sane-e-qudrat ne pyare hath panw nur ke sanche men Dhaale hain tumhaare hath panw



New Songs 2016Pakistan Super League 2016 Live Streaming



love shayari 2016 Pyaar Mai Jiskay Khoo Diya Khud Ko

love shayari 2016 Pyaar Mai Jiskay Khoo Diya Khud Ko
love shayari 2016 Pyaar Mai Jiskay Khoo Diya Khud Ko



  • maddah hun main dil se mohammad ki aal ka mushtaq hun wasi-e-nabi ke jamal ka
  • malte hain hath, hath lagenge anar kab joban ka un ke dekhiye hoga ubhaar kab
  • maza hai imtihan ka aazma le jis ka ji chahe namak zaKHm-e-jigar par aur Dale jis ka ji chahe
  • muddat ke baad isne likha mere nam KHat meri shikayaton se bhara hai tamam KHat
  • nahin mumkin ki tere hukm se bahar main hun ai sanam tabe-e-farman-e-muqaddar main hun
  • namaz kaisi kahan ka roza abhi main shaghl-e-sharab men hun KHuda ki yaad aae kis tarah se buton ke qahr-e-itaab main hoon
  • nigahon men iqrar sare hue hain hum un ke hue wo hamare hue hain ye us ruKH ke sadqe utare hue hai
  • numud-e-qudrat-e-parwardigar hum bhi hain natija-e-chaman-e-rozgar hum bhi hain





romantic urdu poetry 2016 Firaaqe Yaar Ne Bechain Mujko Raat Bhar Rakha

romantic urdu poetry 2016 Firaaqe Yaar Ne Bechain Mujko Raat Bhar Rakha
romantic urdu poetry 2016 Firaaqe Yaar Ne Bechain Mujko Raat Bhar Rakha



  • ajab talash-e-musalsal ka iKHtitam hua husul-e-rizq hua bhi to zer-e-dam hua
  • bahar bhi ab andar jaisa sannaTa hai dariya ke us par bhi gahra sannaTa hai
  • ek karb-e-musalsal ki saza den to kise den maqtal men hain jine ki dua den
  • panw phir howenge aur dasht-e-mughilan hoga hath phir howenge aur apna gareban hoga
  • sarw-qad lala-ruKH o ghuncha-dahan yaad aaya phir bahaar aai mujhe lutf-e-chaman yaad aaya
  • shiddat-e-zat ne ye haal banaya apna jism-e-majnun men hua tang shaloka apna
  • sikka-e-dagh-e-junun milte jo daulat mangta tang karti muflisi gar main faraghat mangta
  • tere jalal se KHurshid ko zawal hua tere jamal se mahtab ko kamal hua



New Songs 2016Pakistan Super League 2016 Live Streaming



poetry in urdu love 2016 Par Kya Karain Wo Humse Bhulaya Na Jayega

poetry in urdu love 2016 Par Kya Karain Wo Humse Bhulaya Na Jayega
poetry in urdu love 2016 Par Kya Karain Wo Humse Bhulaya Na Jayega








  • ho jaegi jab tum se shanasai zara aur baDh jaegi shayad meri tanhai zara
  • jiwan ko dukh dukh ko aag aur aag ko pani kahte bachche lekin soe hue the kis se kahani kahte
  • kitne hi peD KHauf-e-KHizan se ujaD gae kuchh barg-e-sabz waqt se pahle hi jhaD gae
  • wo kuchh gahri soch men aaise Dub gaya hai baiThe baiThe nadi kinare Dub gaya hai
  • wo mere haal pe roya bhi muskuraya bhi ajib shaKHs hai apna bhi hai paraya bhi
  • ye aur baat ki rang-e-bahaar kam hoga nai ruton men daraKHton ka bar kam hoga
  • ye qarz to mera hai chukaega koi aur dukh mujhko hai aur nir bahaega koi aur







lovely poetry in urdu 2016 Dil Ki Choton Ne Kabhi Chain Se Rehne Na Diya

lovely poetry in urdu 2016 Dil Ki Choton Ne Kabhi Chain Se Rehne Na Diya
lovely poetry in urdu 2016 Dil Ki Choton Ne Kabhi Chain Se Rehne Na Diya



  • aangan men chhoD aae the jo ghaar dekh len kis haal men hai in dinon ghar-bar dekh len
  • aankhon ke band bab liye bhagte rahe baDhte hue itab liye bhagte rahe
  • aankhon ke samne koi manzar naya na tha bas wo zara sa fasla baqi raha na tha
  • ajab rang aankhon men aane lage hamen raste phir bulane lage
  • baadban kholegi aur band-e-qaba le jaegi raat phir aaegi phir sab kuchh baha le jaegi
  • badan bhigenge barsaten rahengi abhi kuchh din ye saughaten rahengi
  • bhini KHushbu sulagti sanson men bijliyan bhar gai hain hathon men
  • dhup ke rath par haft aflak chaubaron ke sar par KHak shahr-e-malamat aa pahuncha karna paDega
  • ghar ki had men sahra hai aage dariya bahta hai kaun ye rasta bhula hai jaane kya uftad paDe
  • gharaunde KHwabon ke suraj ke sath rakh lete paron men dhup ke ek kali raat rakh lete



New Songs 2016Pakistan Super League 2016 Live Streaming


love poetry urdu 2016 Jab Yaad Hum Ajayen Milne Ki Dua Karna

love poetry urdu 2016 Jab Yaad Hum Ajayen Milne Ki Dua Karna
love poetry urdu 2016 Jab Yaad Hum Ajayen Milne Ki Dua Karna




  • guzar gae hain jo mausam kabhi na aaenge tamam dariya kisi roz Dub jaenge
  • hamare bare men kya kya na kuchh kaha hoga chalenge sath to duniya ka samna hoga
  • hamen safar ki aziyyat se phir guzarna hai tumhaare shahr men fikr o nazar pe pahra hai
  • hawaen tez thin ye to faqat bahane the safine yun bhi kinare pe kab lagane the
  • itna kyun sharmate hain wade aaKHir wade hain jaen kahin bhi tujhko kya ungli pakaD ke sath chale
  • jis ki na koi raat ho aisi sahar mile sare tayyunat se ek din mafar mile
  • jis se mil baiThe lagi wo shakl pahchani hui aaj tak humse yahi bas ek nadani hui
  • KHabar to dur amin-e-KHabar nahin aae bahut dinon se wo lashkar idhar nahin aae
  • kis ki talash hai hamen kis ke asar men hain jab se chale hain ghar se musalsal safar men hain
  • kise batate ki manzar nigah men kya tha har ek rang men apna hi bas tamasha tha



New Songs 2016Pakistan Super League 2016 Live Streaming


love poetry in urdu 2016 Diya Jab Shaam Ki Dehleez Pe Jalta Hai

love poetry in urdu 2016 Diya Jab Shaam Ki Dehleez Pe Jalta Hai
love poetry in urdu 2016 Diya Jab Shaam Ki Dehleez Pe Jalta Hai



  • koi ghul hua tha na shor-e-KHizan ujaDne lagin KHud-ba-KHud bastiyan
  • panahen DhunD ke kitni hi roz lata hai magar wo lauT ke zulfon ki samt aata hai
  • pata kahin se tera ab ke phir laga lae suhane KHwab naya mashghala uTha lae
  • rone ko bahut roe bahut aah o fughan ki kaTti nahin zanjir magar sud o ziyan ki
  • sabhi ko apna samajhta hun kya hua hai mujhe bichhaD ke tujhse ajab rog lag gaya hai mujhe
  • sadaen qaid karun aahaTen chura le jaun mahakte jism ki sab KHushbuen uDa le jaun
  • silsila ab bhi KHwabon ka TuTa nahin kuch kar jaen kab kuchh bharosa nahin
  • tabir inko kya hai dhuan dekhta hun main ek dariya kuchh dinon se rawan dekhta hun main
  • Thikane yun to hazaron tere jahan men the koi sada hamen rokegi is guman men the
  • tumne likkha hai likho kaisa hun main doston ki bhiD hai tanha hun main
  • ye bhi nahin bimar na the itne junun-asar na the sab par hansna shewa tha



New Songs 2016Pakistan Super League 2016 Live Streaming


urdu poetry love 2016 Shabay Wisaal Thi Chaandni Ka Sammaan Tha

urdu poetry love 2016 Shabay Wisaal Thi Chaandni Ka Sammaan Tha
urdu poetry love 2016 Shabay Wisaal Thi Chaandni Ka Sammaan Tha



  • gham-o-alam bhi hain tum se KHushi bhi tum se hai nawa-e-soz men tum ho sada-e-saz men tum...
  • gila mujhse tha ya meri wafa se meri mahfil se kyun barham gae wo...
  • KHugar-e-lazzat-e-azar tha itna aatish dard bhi manga to pahle se siwa manga tha...
  • dard-e-dil kitna pasand aaya use maine jab ki aah usne wah ki...
  • dil diya jis ne kisi ko wo hua sahib-e-dil hath aa jati hai kho dene se daulat dil ki...
  • meri aankhen aur didar aap ka ya qayamat aa gai ya KHwab hai...
  • milne wale se rah paida kar us se milne ki aur surat kya...
  • wo phir wada milne ka karte hain yani abhi kuchh dinon hum ko jina paDega...



New Songs 2016Pakistan Super League 2016 Live Streaming


love urdu poetry 2016 Kab Se Betha Soch Raha Hoon Ye Kaisi Yakjayi Hai

love urdu poetry 2016 Kab Se Betha Soch Raha Hoon Ye Kaisi Yakjayi Hai
love urdu poetry 2016 Kab Se Betha Soch Raha Hoon Ye Kaisi Yakjayi Hai



  • maut ne muskura ke puchha hai zindagi ka mizaj kaisa hai gham uThane ka gar saliqa hai
  • mera KHulus abhi saKHt imtihan men hai ki mere dost ka dushman meri aman men hai
  • aankhon ko naqsh-e-pa tera dil ko ghubar kar diya humne wida-e-yar ko apna hisar kar diya
  • guftugu karne lage ret ke ambar ke sath dosti ho gai aaKHir meri ashjar ke sath
  • rahzanon ke hath sara intizam aaya to kya phir wafa ke mujrmon men mera nam aaya to kya
  • teri dosti ka kamal tha mujhe KHauf tha na malal tha mera rom rom tha hairati mera dil bhi mahw-e-dhamal tha






urdu love poetry 2016 Ye Baat Alag Hai Kisi Dharay Pe Nahi Hai

urdu love poetry 2016 Ye Baat Alag Hai Kisi Dharay Pe Nahi Hai
urdu love poetry 2016 Ye Baat Alag Hai Kisi Dharay Pe Nahi Hai



  • aao aaj hum donon apna apna ghar chun len tum nawah-e-dil le lo KHitta-e-badan mera...
  • abhi gunah ka mausam hai aa shabab men aa nasha utarne se pahle meri sharab men aa...
  • apne wajud se pare ab koi bhi rasta nahin hai...
  • chamak de chand ko ThanDak hawa ko dil ko umang udas qisse ko phir ek shahzada de...
  • ek musalsal jang thi KHud se ki hum zinda hain aaj zindagi hum tera haq yun bhi ada karte rahe...
  • main tujhko jagti aankhon se chhu sakun na kabhi meri ana ka bharam rakh le mere KHwab men aa...
  • tum to ai KHushbu hawao us se mil kar aa gain ek hum the zaKHm-e-tanhai hara karte rahe...
  • wo qayamat thi ki reza reza ho ke uD gaya ai zamin warna kabhi ek aasman mera bhi tha...





very sad poetry in urdu 2016 Behtar To Hai Yahi Ke Na Dunya Se Dil Lagay

very sad poetry in urdu 2016 Behtar To Hai Yahi Ke Na Dunya Se Dil Lagay
very sad poetry in urdu 2016 Behtar To Hai Yahi Ke Na Dunya Se Dil Lagay



  • tauba ka takalluf kaun kare haalat ki niyyat Thik nahin rahmat ka irada bigDa hai barsat ki niyyat ...
  • thoDi si aql lae the hum bhi magar adam duniya ke hadsat ne diwana kar diya...
  • wo ahd-e-jawani wo KHarabaat ka aalam naghmat men Dubi hui barsat ka aalam...
  • wo mile bhi to ek jhijhak si rahi kash thoDi si hum piye hote...
  • ya dupaTTa na lijiye sar par ya dupaTTa sambhaal kar chaliye...
  • ye kya ki tumne jafa se bhi hath khinch liya meri wafaon ka kuchh to sila diya hota...
  • zaban-e-hosh se ye kufr sarzad ho nahin sakta main kaise bin piye le lun KHuda ka nam ai saqi...
  • zara ek tabassum ki taklif karna ki gulzar men phul murjha rahe hain...
  • zindagi hai ek kirae ki KHushi sukhte talab ka pani hun main...
  • zindagi zor hai rawani ka kya thamega bahaw pani ka...


New Songs 2016Pakistan Super League 2016 Live Streaming


poetry in urdu sad 2016 Ulti Ho Gayi Sab Tadbeerain Kuch Na Dawa Ne Kaam Kiya

poetry in urdu sad 2016 Ulti Ho Gayi Sab Tadbeerain Kuch Na Dawa Ne Kaam Kiya
poetry in urdu sad 2016 Ulti Ho Gayi Sab Tadbeerain Kuch Na Dawa Ne Kaam Kiya



  • pir-e-mughan se hum ko koi bair to nahin thoDa sa iKHtilaf hai mard-e-KHuda ke sath...
  • sab ko pahuncha ke unki manzil par aap raste men rah gaya hun main...
  • saqi mujhe sharab ki tohmat nahin pasand mujhko teri nigah ka ilzam chahiye...
  • saqi tujhe ek thoDi si taklif to hogi saghar ko zara tham main kuchh soch raha hun...
  • saqi zara nigah mila kar to dekhna kambaKHt hosh men to nahin aa gaya hun main...
  • sawal kar ke main KHud hi bahut pasheman hun jawab de ke mujhe aur sharmsar na kar...
  • shayad mujhe nikal ke pachhta rahe hon aap mahfil men is KHayal se phir aa gaya hun main...
  • shikan na Dal jabin par sharab dete hue ye muskuraati hui chiz muskura ke pila...
  • sirf ek qadam uTha tha ghalat rah-e-shauq men manzil tamam umr mujhe DhunDhti rahi...
  • taklif miT gai magar ehsas rah gaya KHush hun ki kuchh na kuchh to mere pas rah gaya...