Monday 8 February 2016

Kabhi kisi ka jo hota tha intizaar humain barra he sham-o-sahar ka khayyal

Kabhi kisi ka jo hota tha intizaar humain barra he sham-o-sahar ka khayyal
Kabhi kisi ka jo hota tha intizaar humain barra he sham-o-sahar ka khayyal







Bana raha tha koi aab-o-khaak se kuch aur
utha liya phir achannak he chaak se kuch aur

Jala ke baith gaya mai wo akhiri tasweer
To naqash ubharne lagay uski raakh se kuch aur

Bas apne aap se kuch dair hum kalaam raho
Nahi hai faida hijro firaaq se kuch aur

Humari faal hamaray he haath se nikali
Bana hai zaicha par itifaaq se kuch aur

Wohi sitaara numa ek charaagh hai Aazar
Mera khayal tha niklayga taak se kuch aur

No comments:

Post a Comment