Koi hal na koi jawab hai ye sawal kaisa sawal hy jisay bhool janay ka hukum |
Shorashay waqat howi waqt ki raftaar mai gum
Din guzartay hain teray khwaab ke asaar mai gum
Kya ajaab thi wo fizaoon mai ghuli boye qadeem
Shehar ka shehar howa wehshatay israar mai gum
Is kahani ka bhi unwaan koi heraatay husan
Aina aks mai aks ainabardaar mai gum
Daikh ye ankh teri chub se howi khaakstar
Sun samaat hai teri narmi-e-guftaar mai gum
No comments:
Post a Comment