Wo apne sakoon-e-dil ki khatir baat karte thay humse hum nadaan samaje ke unhain |
Mazeed ek baar par bar garaan rakha gaya hai
Zameen jo tere upar aasmaan rakha gaya hai
Meri neendoon mai rehti hai saada tashna dahaani
Mere khwaaboon mai ek darya rawaan rakha gaya hai
Howa ke saath pholoon se nikalne ki saza mai
Batakti khushbowon ko beamaan rakha gaya hai
Magar ye dil behalta he nahi go us ke aagay
Tumaray baad ye saara jahaan rakha gaya hai
No comments:
Post a Comment