Ab to qismat he mila de to mila day warna hum to bicharr gaye hain tofaan mai parindon ki tarah |
Ab yadoon ke kante is dil mai chubhte hain na ye dard tehrta hai na ye ansoo rukte hain |
Dil gumrah ko a kaash ye malom ho jata mohabbat dilchasp hai tab tak jab tak ho nahi jaati |
Dil ki faryaad kaise sunao dar lagta hai mujhe koshish usay paane ki hai jisay dekhne tak ki ijazat nahi |
Dil to karta hai rooh ki jagga tum hote mere jism mai jab tum juda hotay to hum mar he jaate |
Ek lamhe mai ik manzaar guzar jata hai jab koi apna begana nazar ata hai yun to awaz aati hai |
Ek tere siwa hum kisi aur ke kaise ho sakte hain to khud he soch ke bata tere jaisa koi aur hai kya |
Hamara ishq karne ka andaaz kuch ajeeb hai tum insaan daikh kar mohabbat karte ho hum muhabbat karke insaan dekhte hain |
Koi misaal zamane mai aisi dekhi hai mai jee raha hoon magar dil ne khudkushi karli |
Kuch yun howa haal-e-dil lagi mai chot khaa kar wafain fitrat mai reh gayi aur mohabbat se wasta na raha |
Likhna to tha khush hoon tere baghair bhi aansoo magar qalam se pehle he gir parre |
Loat atay aik pal mai tere paas tere labon ne mera naam to liya hota |
Meri zaat mai ek aisa shakhs hai wo meri pori zindagi hai aur mai uska ek lamha bhi nahi |
new poetry in urdu khwaab bhi shaid kaanch se kamzor hote hain har roz toot jaate hain faqat ankh ke khulne se |
poetry in urdu sad ek mudat guzar gayi lekin dil ka mosam nahi badla na teri soch ne rehayi di na mai teri yaad se nikla |
Sansain muntazir hain tujhe mehsoos karne ko fizza mai khushbo se bikhar jao kuch qarar aa jaaye |
Tumhe kya sunaon a dil ruba tere samne mera haal hai teri ek nazar ki to baat thi meri zindagi ka sawal hai |
No comments:
Post a Comment