urdu sad poetry Hum bhi pholon ki tarah aksar tanha he rehte hain kabhi khud se toot jatay hain to kabhi koi torr jata hai |
urdu love poetry Badi gustaakh hai tumhari yaad isay tameez sikha do dastak bhi nahi deti aur dil mai utar jaati hai |
Adhore rishte hamesha takleef dete hain na khud marte hain na humko marne detay hain |
Agar wo zindagi mai faqat ek baar mera ho jata to ma zamane bhar ki kitabon se lafaz bewafai mita deta |
Apna patta to usne diya tha mujhe mohsin mai khud he kho gayi to ye mera naseeb tha |
Chod diya humne uska deedar karna hamesha ke liye faraz jisko humari nigah se he nafrat ho usay |
Heraan hoon ke mudaat-e-qaleel mai mohsin wo shakhs meri soch se zyada badal gaya |
Hum samandar ki tarah chup hain ke hum jaante hain hum agar sabar na karte to qayamat kartay |
Khuda Bhi akhir pochega mujh se mujhe paanch waqat aur usay har waqt |
Kis bahane se mujhe kis ka patta yaad aya husn-e-kafir ko jo dekha to khuda yaad aya |
Koi Lakh parray pyaar ke mantar jinki fitrat ho dasna wo dassa karte hain |
Mohabbat cheez aisi hai kabhi hoti hai apno se kabhi hoti hai sapno se kabhi anjaan rahon se |
Sakht nadim hoon kisi shakhs se shikwa karke mujh se dekha na gaya iska pashemaan hona |
Saza mai koi rad-o-badal kar a ishq meri umar dekh mera marna abhi banta nahi |
Suna hai usko mohabbat duain deti hai jo dil pe choat to khaaye magar gila na karay |
Teri muskaan tera lehja tere masoom se alfaaz kya kahon bas bohut yaad atay ho tum |
Usne bhula diya to shikwa na kar apno ko baday ikhtiyaar howa karte hain |
Ye dil bohut udaas hai jab se khabar howi milte ho tum khuloos se har aadmi ke saath |
Ye lafzon ki shararat hai sanbhal kar kuch likhna tum mohabbat aik lafaz hy lekin ye aksar ho jaati hey |
Ye meri aqeedat be sabar ye meri ibadat-e-besamar mujhe mere dawa-e-ishq ne na sanam diya na khuda diya |
No comments:
Post a Comment