urdu best poetry Mehfil thi duaon ki so mai ne be aik dua mangi mere apne saada khush rahain mere saath bhi mere baad be |
love poetry urdu Mohabbat ki zanjeer se darr lagta hai kuch apni taqdeer se dar laagta hy jo mujhe tujse juda |
Masrofiyat se wabasta hai ye zindagi meri khuda gawah hai phir bhi tumhe yaad karte hain |
Mat janay do pukaar lo ek baar mujhe kon chahega mere baad tum ko itna |
Mat poch ke kis tarah chal rahi hai zindagi us door se guzar rahe hain jo guzarta he nahi |
Mera kya haal hai tere bina kabhi daikh to le jee raha hoon tera bhola howa waada ban kar |
Meri qismat mai ghum agar itna tha dil bhi ya rab kai diye hote |
Meri zindagi ki kitaab ka hai warq warq yun saja howa sar-e-ibtida sar-e-intiha tera naam dil pe likha howa |
Moat se pehle bhi ek aur moot hoti hai dekho zara tum kisi apne se juda ho kar |
Phir kisi yaad ne hai raat bhar jaagaya mujh ko kya saza di hai mohabbat ne khudaya mujhko |
Pyaas aisi ke pee jaaon ankhain uski naseeb aisa ke muyasar deedaar bhi nahi |
Raat darwaze pe kitni dastakon ka shor tha phir wohi pagal hawa thi phir mujhe dhoka howa |
Rote hain tanha dekh kar mujhe wo raste jin par tere baghair hum guzre kabhi na thay |
Shikway to bohut hain magar shikayat nahi kar sakta mere honton ko ijazat nahi tere khilaf bolne ki |
Suna hai din mai usko titliyaan sataati hain suna hy raat mai jugno tehar ke dekhte hain |
Suno meri zindagi ki do khwaishain hain ek tumhe palon dosri ye ke pehli pori ho jaaye |
To bhi bewafa nikla auron ki tarah socha tha ke tujh se to hum zamane ki bewafai ka gila karenge |
Tujh mai chupay hain meri zindagi ke hazaron raaz tujhe wasta hai zindagi ka zara khud ka khayal rakhna |
Uski nigah mai koi jaado zaroor tha jis par bhi parri uske jigar mai utaar gayi |
Yun he nahin ilzaam wo saray sar legaya khilte phoolon ko bhi jo pat jharr de gaya |
No comments:
Post a Comment