best urdu poetry Jo likhon to nok-e-qalam pe tum jo parrhon to nok-e-zubaan pe tum tere saath saath nikhar gaya mera zoaq |
sad poetry Aaj afsoos ho raha hai apne haal-e-zindagi par kaash kisi se had se zyada mohabbat na ki hoti |
Abaad rehegi ye dunya humare baad bhi hum nahi honge to koi aur humsa hoga |
Aur kya chahte ho muqaam apna keh to diya zindagi ho tum |
Aya tha aik shakhs mere dard ko bantne rukhsat howa to apna bhi ghum de gaya mujhe |
Barra soaq tha unhain mera ashiyaana dekhne ka jab dekhi meri ghareebi to rasta badal liya |
Bohut kuch tujhse barr kar bhi muyasar tha najanay phir be kyun teri zarorat kam nahi hoti |
Dam torr jaati hai har shikayat labon pe aa kar jab wo masomiyaat se kehte hain mai ne kiya kya hai |
Hazaron dukh parrain sehna mohabbat mar nahi sakti hai tumse bas yahi kehna muhabbat mar nahi sakti |
Hum bhi pholon ki tarah aksar tanha he rehte hain kabhi khudse toot jate hain kabhi koi torr jata hai |
Kabhi socha na tha ke wo bhi mujhe tanha kar jaayega umar jo aksar pareshan dekh ke kehta tha |
Kon rota hai yahan raat ke sanaton mai mere jaisa he koi hijar ka mara hoga kaam mushkil |
Mujhe Hukum huwa kuch aur maang iske siwa saghar mai dast-e-dua se uth gaya ke dua kuch bhi nahi uske siwa |
Mujhko muj mai jaga nahi milti wo hai mujood mujh mai is qadar |
Na kar mohabbat pardesi se unka thikana na door hota hai ye bewafa nahi hote unhain jana zaroor hota hai |
Nahi hota kisi tabeeb se is maraz ka elaaj ishq lailaaj hai ba ihtiyaat kejiye |
Pocha tha unse haal barri mudat ke baad kuch parr gaya hai ankh mai ye keh ke ro parray |
Sochta hoon ke mai kuch aur be sochon lekin toot jate hain khayalat teri zaat ke baad |
Wo shakhs jiski yaad mai ankhain pighal gayi chup chaap mere paas se ho kar guzar gaya |
Zindagi tujh par bohut ghoor kiya hai mai ne to rangeen khayalon ke siwa kuch bhi nahi |
No comments:
Post a Comment