Monday, 21 December 2015

Urdu Poetry 2016 Barri Tabdiliyaan Laaye Hain Apne Aap Mai Lekin

Urdu Poetry 2016 Barri Tabdiliyaan Laaye Hain Apne Aap Mai Lekin
Urdu Poetry 2016 Barri Tabdiliyaan Laaye Hain Apne Aap Mai Lekin



  • ye ab jo aag bana shahr shahr phaila hai yahi dhuan mere diwar o dar se nikla tha...
  • ye dil ka dard to umron ka rog hai pyare so jae bhi to pahr do pahr ko jata hai...
  • ye kaun phir se unhin raston men chhoD gaya abhi abhi to azab-e-safar se nikla tha...
  • ye kin nazron se tu ne aaj dekha ki tera dekhna dekha na jae...
  • yun to pahle bhi hue us se kai bar juda lekin ab ke nazar aate hain kuchh aasar juda...
  • yunhi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai kis qadar jald badal jate hain insan jaanan...
  • zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka faraaz zalim ab ke bhi na roega to mar jaega...
  • zindagi par is se baDh kar tanz kya hoga faraaz us ka ye kahna ki tu shaer hai diwana nahin...
  • zindagi se yahi gila hai mujhe tu bahut der se mila hai mujhe...
  • zindagi teri ata thi so tere nam ki hai humne jaise bhi basar ki tera ehsan jaanan...


No comments:

Post a Comment