Sunday 29 November 2015

Mani hain maine saikaDon baaten tamam umr aaj aap ek baat meri man jaiye






  • mani hain maine saikaDon baaten tamam umr aaj aap ek baat meri man jaiye...
  • maqtal-e-shauq ke aadab nirale hain bahut dil bhi qatil ko diya karte hain sar se pahle...
  • maza aata agar guzri hui baaton ka afsana kahin se tum bayan karte kahin se hum bayan karte...
  • mehrban ho ke bula lo mujhe chaho jis waqt main gaya waqt nahin hun ki phir aa bhi na sakun...
  • mere dil o dimagh pe chhae hue ho tum zarre ko aaftab banae hue ho tum...
  • mere jazb-e-dil ka asar dekh lena wo aaenge thame jigar dekh lena...
  • meri har baat ko ulTa wo samajh lete hain ab ki puchha to ye kah dunga ki haal achchha hai...
  • meri iza-rasani mujhko yun taskin deti hai ki tera ho ke wo zalim kisi ka ho nahin sakta...
  • meri tasbih ke dane hain bholi suraton wale nigahon men phiraata hun ibaadat hoti jati hai...
  • momin KHuda ke waste aisa makan na chhoD dozaKH men Dal KHuld ko ku-e-butan na chhoD...



No comments:

Post a Comment