Sunday 29 November 2015

Qaul aabru ka tha ki na jaunga us gali ho kar ke be-qarar dekho aaj phir gaya






  • Qaul aabru ka tha ki na jaunga us gali ho kar ke be-qarar dekho aaj phir gaya...
  • teri mahfil se uThata ghair mujhko kya majal dekhta tha main ki tu ne bhi ishaara kar diya...
  • tum na tauba karo jafaon se hum wafaon se tauba karte hain...
  • uD gai yun wafa zamane se kabhi goya kisi men thi hi nahin...
  • ummid to bandh jati taskin to ho jati wada na wafa karte wada to kiya hota...
  • usne apna bana ke chhoD diya kya asiri hai kya rihai hai...
  • wada-e-wasl use jaan ke KHush ho jaun waqt-e-ruKHsat bhi agar hath milae koi...
  • wafa tujhse ai bewafa chahta hun meri sadgi dekh kya chahta hun...



No comments:

Post a Comment