Monday, 2 November 2015

Best shero shayari on yaadein Humain Chor Pia Kis Old Urdu Ghazal

Best shero shayari on yaadein Humain Chor Pia Kis Old Urdu Ghazal
Best shero shayari on yaadein Humain Chor Pia Kis Old Urdu Ghazal



  • ghafil KHuda ki yaad pe mat bhul zinhaar apne tain bhula de agar tu bhula sake...
  • haal mujh gham-zada ka jis jis ne jab suna hoga ro diya hoga...
  • hamen to bagh tujh bin KHana-e-matam nazar aaya idhar gul phaDte the jaib roti thi udhar shabnam...
  • ho gaya mehman-sara-e-kasrat-e-mauhum aah wo dil-e-Khaali ki tera KHas KHalwat-KHana tha...
  • hum bhi jaras ki tarah to is qafile ke sath nale jo kuchh bisat men the so suna chale...
  • jaan se ho gae badan Khaali jis taraf tu ne aankh bhar dekha...
  • jag men aa kar idhar udhar dekha tu hi aaya nazar jidhar dekha...
  • ji ki ji hi men rahi baat na hone pai haif ki us se mulaqat na hone pai...
  • kabhu rona kabhu hansna kabhu hairan ho jaana mohabbat kya bhale-change ko diwana banati hai...
  • kahte na the hum dard miyan chhoDo ye baaten pai na saza aur wafa kijiye us se...
  • kamar KHamida nahin be-sabab zaifi men zamin DhunDte hain wo mazar ke qabil...
  • kash uske ru-ba-ru na karen mujhko hashr men kitne mere sawal hain jin ka nahin jawab...

No comments:

Post a Comment